Sunday 16 November 2014

MOLA ALI KI NASIHAT

- Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu)  Qaul-e-
Mubarak : 3 Cheezen Mohabbat
Badhane Ka Zariya Hai:
1.Salaam Karna.
2.Doosron Ke Liye Majlis Me Jagah Khali
Karna.
3.Mukhatab Ko Behtareen Naam Se Pukarna.
Bewqoof aurat Apne husband ko apna Ghulam
banati hai aur khud Ghulam ki
Biwi ban jati hai..
Jab ke aqalmiand aurat apne husband ko
Badshah banati hai aur khud Badshah
ki Mallika banjati hai..
~
__________________________________
Zindagi ke har mod par sulaah karna seekho.
Kyun ke jhukta wohi hai jis me
jaan hoti hai. Akadna to murday ki pehchaan hoti
hai...

__________________________________
Dua mangte raho kyun ke mumkin aur na mumkin
to sirf hamari soch me hai,
ALLAH ke liye to kuch bhi na mumkin nahi...

__________________________________
Apni ghaltiyon se taqdeer ko badnaam mat karo
kyun ki taqdeer to khud
himmat ki mohtaaj hoti hai...

__________________________________
Dua dastak ki tarah hai musalsal dastak say
darwaza khul hi jata hai...

_______________________________
Jo tumhe khushi mein yaad aaye, samjho tum us
se mohabbat karte ho aur jo
tumhe gham me yaad aaye to samjho woh tum se
mohabbat karta hai...

__________________________________
Rishton ki khoobsurti ek dosre ki baat ko bardasht
karna hai..be aib insaan
talash mat karo warna akele reh jaoge...

__________________________________
Agar tum use na pa sako jise tum chahte ho, to
usay
zaroor pa lena jo tumhe
chahta hai kyun ki chahne se chaahe jane ka
ehsas zyada khoobsurat hota
hai...

________________________________________
Agar qismat ka likha sab kuch hota to ALLAH
insaan ko dua maangna kabhi na
sikhata
Aap k agar   
sawalat ho to email kare

Amelqadri@gmail.com

Duao ka talabgaar

Amel qadri

No comments:

Post a Comment